nashad dil ho shad mah-e-wasl-e-yar se
nāshād dil ho shaad mah-e-vasl-e-yār se
yā-rab mirī ḳhizāñ ko badal de bahār se
kyā kaam kar gayā asar-e-iztirāb-e-dil
vo bhī haiñ aaj merī tarah be-qarār se
gum ho rahā huuñ jalva-e-jānāñ kī raah meñ
ghabrā rahā huuñ kaif-e-hujūm-e-bahār se
ai be-ḳhudī-e-shauq vahāñ tak pahuñch bhī jā
ḳhud ko bachā ke gardish-e-lail-o-nahār se
majbūr huuñ kashākash-e-husn-e-nigāh meñ
be-iḳhtiyār huuñ ġham-e-be-iḳhtiyār se
'maḳhmūr' merā josh-e-junūñ bhī ajiib hai
dāman ko sī rahā huuñ garebāñ ke taar se
nashad dil ho shad mah-e-wasl-e-yar se
ya-rab meri KHizan ko badal de bahaar se
kya kaam kar gaya asar-e-iztirab-e-dil
wo bhi hain aaj meri tarah be-qarar se
gum ho raha hun jalwa-e-jaanan ki rah mein
ghabra raha hun kaif-e-hujum-e-bahaar se
ai be-KHudi-e-shauq wahan tak pahunch bhi ja
KHud ko bacha ke gardish-e-lail-o-nahaar se
majbur hun kashakash-e-husn-e-nigah mein
be-iKHtiyar hun gham-e-be-iKHtiyar se
'maKHmur' mera josh-e-junun bhi ajib hai
daman ko si raha hun gareban ke tar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.