nashad tha nashad hai malum nahin kyon
nashad tha nashad hai malum nahin kyon
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
nāshād thā nāshād hai mā'lūm nahīñ kyoñ
dil 'ishq meñ barbād hai mā'lūm nahīñ kyoñ
dekhā thā kabhī ḳhvāb-e-hasīñ maiñ ne bhī ai dost
itnā to mujhe yaad hai mā'lūm nahīñ kyoñ
baaqī hai abhī tūl-e-shab-e-hijr kā 'ālam
dil shaam se nāshād hai mā'lūm nahīñ kyoñ
barbād huā jis ke taġhāful se mirā dil
dil meñ vahī ābād hai mā'lūm nahīñ kyoñ
har chand ki dil kushta-e-bedād hai lekin
naala hai na fariyād hai mā'lūm nahīñ kyoñ
jo sab ke liye lutf-o-'ināyat kā hai paikar
mere liye jallād hai mā'lūm nahīñ kyoñ
maiñ bhī kahīñ ābād thā ye yaad nahīñ hai
mujh meñ koī ābād hai mā'lūm nahīñ kyoñ
ai 'dard' qafas meñ bahut ārām hai lekin
gulshan kī fazā yaad hai mā'lūm nahīñ kyoñ
nashad tha nashad hai ma'lum nahin kyon
dil 'ishq mein barbaad hai ma'lum nahin kyon
dekha tha kabhi KHwab-e-hasin main ne bhi ai dost
itna to mujhe yaad hai ma'lum nahin kyon
baqi hai abhi tul-e-shab-e-hijr ka 'alam
dil sham se nashad hai ma'lum nahin kyon
barbaad hua jis ke taghaful se mera dil
dil mein wahi aabaad hai ma'lum nahin kyon
har chand ki dil kushta-e-bedad hai lekin
nala hai na fariyaad hai ma'lum nahin kyon
jo sab ke liye lutf-o-'inayat ka hai paikar
mere liye jallad hai ma'lum nahin kyon
main bhi kahin aabaad tha ye yaad nahin hai
mujh mein koi aabaad hai ma'lum nahin kyon
ai 'dard' qafas mein bahut aaram hai lekin
gulshan ki faza yaad hai ma'lum nahin kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.