naw Dubi teri hamare liye
naav Duubī tirī hamāre liye
dukh se ubhrī ḳhushī hamāre liye
josh meñ hosh kho gayā to kyā
aag the phuul bhī hamāre liye
shab kī āñkhoñ meñ iltifāt nahīñ
din meñ hai be-ruḳhī hamāre liye
chāñdnī se nahīñ haiñ ham vāqif
dhuup hai ajnabī hamāre liye
shāyad is ḳhvāb se pare hogī
ek duniyā na.ī hamāre liye
din kā hangāma un ke naam sahī
raat kī ḳhāmushī hamāre liye
aañkh meñ kitne din sañbhāloge
ḳhvāb-e-āvārgī hamāre liye
jaane kab āsmāñ se utregā
mausam-e-dilbarī hamāre liye
is tarah jī rahe haiñ jaise kahīñ
muntazir hai koī hamāre liye
naw Dubi teri hamare liye
dukh se ubhri KHushi hamare liye
josh mein hosh kho gaya to kya
aag the phul bhi hamare liye
shab ki aankhon mein iltifat nahin
din mein hai be-ruKHi hamare liye
chandni se nahin hain hum waqif
dhup hai ajnabi hamare liye
shayad is KHwab se pare hogi
ek duniya nai hamare liye
din ka hangama un ke nam sahi
raat ki KHamushi hamare liye
aankh mein kitne din sanbhaaloge
KHwab-e-awargi hamare liye
jaane kab aasman se utrega
mausam-e-dilbari hamare liye
is tarah ji rahe hain jaise kahin
muntazir hai koi hamare liye
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 51)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.