Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naz bhala kis baat ka tujhko pas-e-hunar jab kuchh bhi nahin

Shamshad shaad

naz bhala kis baat ka tujhko pas-e-hunar jab kuchh bhi nahin

Shamshad shaad

MORE BYShamshad shaad

    naaz bhalā kis baat tujh ko pās-e-hunar jab kuchh bhī nahīñ

    manzil par pahuñchegā kaise raḳht-e-safar jab kuchh bhī nahīñ

    dekh bhaTak jaa.e na musāfir aañkh bhūl-bhulaiyyā meñ

    kis ko DhūñDe shoḳh-nazar tā-hadd-e-nazar jab kuchh bhī nahīñ

    merī nigāhoñ meñ duniyā har shai se nāyāb hai

    aur kisī ko kyuuñ chāhūñ tujh se behtar jab kuchh bhī nahīñ

    maiñ bhī faanī bhī faanī saarā 'ālam faanī hai

    kyā ḳhadd-o-ḳhāl pe naaz kareñ duniyā meñ amar jab kuchh nahīñ

    jugnū aur sitāre mil kar tujh ko kyā lalkāreñge

    tere aage nuur ke paikar shams-o-qamar jab kuchh bhī nahīñ

    bātil ko ab kaun duhā.ī qānūn aur insāf de

    bandoñ kyā ḳhauf use allāh Dar jab kuchh bhī nahīñ

    tāj-mahal phīkā lagtā hai us ke ruup ke aage 'shād'

    terī kyā auqāt bhalā sañg-e-marmar jab kuchh bhī nahīñ

    naz bhala kis baat ka tujh ko pas-e-hunar jab kuchh bhi nahin

    manzil par pahunchega kaise raKHt-e-safar jab kuchh bhi nahin

    dekh bhaTak jae na musafir aankh ki bhul-bhulaiyya mein

    kis ko DhunDe shoKH-nazar ta-hadd-e-nazar jab kuchh bhi nahin

    meri nigahon mein duniya ki har shai se nayab hai tu

    aur kisi ko kyun chahun tujh se behtar jab kuchh bhi nahin

    main bhi fani tu bhi fani sara 'alam fani hai

    kya KHadd-o-KHal pe naz karen duniya mein amar jab kuchh nahin

    jugnu aur sitare mil kar tujh ko kya lalkarenge

    tere aage nur ke paikar shams-o-qamar jab kuchh bhi nahin

    baatil ko ab kaun duhai qanun aur insaf ki de

    bandon ka kya KHauf use allah ka Dar jab kuchh bhi nahin

    taj-mahal phika lagta hai us ke rup ke aage 'shad'

    teri kya auqat bhala sang-e-marmar jab kuchh bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now