naz-e-sad-rang-o-junun-KHez ishaare dekhe
naz-e-sad-rang-o-junun-KHez ishaare dekhe
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
nāz-e-sad-rang-o-junūñ-ḳhez ishāre dekhe
ham ne kitne na.e andāz tumhāre dekhe
āshiyāñ ek nayā roz banā lete haiñ
hausle barq-e-tapāñ aur hamāre dekhe
merī is jur.at-o-ummīd kī de daad koī
maiñ ne tūfān kī maujoñ meñ kināre dekhe
shāyad andāz kisī meñ ho tirī āñkhoñ kā
der tak raat ko is shauq meñ taare dekhe
sham’-o-parvāna bhī jalte haiñ dil-e-insāñ bhī
ek hī haal meñ sab 'ishq ke maare dekhe
mast sairāb hue ek nazar meñ 'maikash'
un kī āñkhoñ meñ mai-e-nāb ke dhāre dekhe
naz-e-sad-rang-o-junun-KHez ishaare dekhe
hum ne kitne nae andaz tumhaare dekhe
aashiyan ek naya roz bana lete hain
hausle barq-e-tapan aur hamare dekhe
meri is jurat-o-ummid ki de dad koi
main ne tufan ki maujon mein kinare dekhe
shayad andaz kisi mein ho teri aankhon ka
der tak raat ko is shauq mein tare dekhe
sham’-o-parwana bhi jalte hain dil-e-insan bhi
ek hi haal mein sab 'ishq ke mare dekhe
mast sairab hue ek nazar mein 'maikash'
un ki aankhon mein mai-e-nab ke dhaare dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.