naz ghaflat ke uThata hun main hushyari mein
naaz ġhaflat ke uThātā huuñ maiñ hushyārī meñ
ālam-e-ḳhvāb hai goyā mirī bedārī meñ
kaun aatā hai ilāhī ki pā-e-istiqbāl
hasrateñ der se masrūf haiñ tayyārī meñ
kyā banā leñge shab-e-hijr bigaḌ kar naale
dard uTh baiThe agar dil kī taraf-dārī meñ
hosh uḌ jaate haiñ pāband-e-qafas kar ke mujhe
hai mire saath rihā.ī bhī giraftārī meñ
le liyā dil mirā ġhussa se jhiḌak kar us ne
dilrubā.ī bhī hai zālim kī dil-āzārī meñ
jaag kar bhī rahe pāband-e-taġhāful barsoñ
kyā tamāsha hai ki sote rahe bedārī meñ
kyoñ na nākāmī-e-qismat ko duā duuñ 'taufīq'
barsoñ paalā hai mujhe dāman-e-ġham-ḳhvārī meñ
naz ghaflat ke uThata hun main hushyari mein
aalam-e-KHwab hai goya meri bedari mein
kaun aata hai ilahi ki pa-e-istiqbaal
hasraten der se masruf hain tayyari mein
kya bana lenge shab-e-hijr bigaD kar nale
dard uTh baiThe agar dil ki taraf-dari mein
hosh uD jate hain paband-e-qafas kar ke mujhe
hai mere sath rihai bhi giraftari mein
le liya dil mera ghussa se jhiDak kar us ne
dilrubai bhi hai zalim ki dil-azari mein
jag kar bhi rahe paband-e-taghaful barson
kya tamasha hai ki sote rahe bedari mein
kyon na nakaami-e-qismat ko dua dun 'taufiq'
barson pala hai mujhe daman-e-gham-KHwari mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.