Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naz hai mashq-e-jafa par us sitam-ijad ko

Ibraheem Aajiz

naz hai mashq-e-jafa par us sitam-ijad ko

Ibraheem Aajiz

MORE BYIbraheem Aajiz

    naaz hai mashq-e-jafā par us sitam-ījād ko

    kab karegā shaad merī ḳhātir-e-nāshād ko

    kis tarah samm-e-qātil hai ye sharbat ishq

    jān-e-shīrīñ zahr āḳhir ho ga.ī farhād ko

    rahm jab kartā nahīñ nāloñ se phir kyā fā.eda

    dard-mandī bulbul-e-nālāñ se kyā sayyād ko

    kaise vo ḳhush-fahm haiñ patthar paḌe us fahm par

    jo jahānābād samjhe is ḳharāb-ābād ko

    ik ta.alluq se hazāroñ ranj hote haiñ nasīb

    fikr karte kis ne dekhā hai kisī āzād ko

    jānte haiñ juzv hai īmān hubb-e-vatan

    be-tarah bhūle vatan haiñ kyā huā ustād ko

    nāla-o-zārī meñ ai 'ājiz' kyoñ masrūf hai

    kaun suntā hai are nādāñ tirī fariyād ko

    naz hai mashq-e-jafa par us sitam-ijad ko

    kab karega shad meri KHatir-e-nashad ko

    kis tarah ka samm-e-qatil hai ye sharbat ishq ka

    jaan-e-shirin zahr aaKHir ho gai farhad ko

    rahm jab karta nahin nalon se phir kya faeda

    dard-mandi bulbul-e-nalan se kya sayyaad ko

    kaise wo KHush-fahm hain patthar paDe us fahm par

    jo jahanabaad samjhe is KHarab-abaad ko

    ek talluq se hazaron ranj hote hain nasib

    fikr karte kis ne dekha hai kisi aazad ko

    jaante hain juzw hai iman ka hubb-e-watan

    be-tarah bhule watan hain kya hua ustad ko

    nala-o-zari mein ai 'ajiz' tu kyon masruf hai

    kaun sunta hai are nadan teri fariyaad ko

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now