naz-o-ada ghurur haya husn mastiyan
nāz-o-adā ġhurūr hayā husn mastiyāñ
ye sab milā ke bantī haiñ college kī laḌkiyāñ
joban ki jaise 'mīr' ke āñgan kā piilā phuul
allāh-re ye gaañv kī alhaḌ rubā.iyāñ
lazzat ab un laboñ kī samajhiye kuchh is tarah
chūse kā zā.iqa haiñ dasahrī kī guThliyāñ
hoñToñ pe likh ke pakkī siyāhī se uns kī
gāloñ pe bhej dī haiñ mohabbat kī 'arziyāñ
chehre ke tānsen kī viinā kī mīThī dhun
us par tumhārī boltī āñkhoñ kī murkiyāñ
hañstī haiñ hāñpte hue ThanDe charāġh par
bistar meñ baiThe chāñd kī mushkil chaḌhā.iyāñ
naz-o-ada ghurur haya husn mastiyan
ye sab mila ke banti hain college ki laDkiyan
joban ki jaise 'mir' ke aangan ka pila phul
allah-re ye ganw ki alhaD rubaiyan
lazzat ab un labon ki samajhiye kuchh is tarah
chuse ka zaiqa hain dasahri ki guThliyan
honTon pe likh ke pakki siyahi se uns ki
galon pe bhej di hain mohabbat ki 'arziyan
chehre ke tansen ki wina ki miThi dhun
us par tumhaari bolti aankhon ki murkiyan
hansti hain hanpte hue ThanDe charagh par
bistar mein baiThe chand ki mushkil chaDhaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.