naz-o-andaz dil dikhane lage
nāz-o-andāz dil dikhāne lage
ab vo fitne samajh meñ aane lage
phir vahī intizār kī zanjīr
raat aa.ī diye jalāne lage
chhāñv paḌne lagī sitāroñ kī
ruuh ke zaḳhm jhilmilāne lage
haal ahvāl kyā batā.eñ kise
sab irāde ga.e Thikāne lage
manzil-e-sub.h aa ga.ī shāyad
rāste har taraf ko jaane lage
naz-o-andaz dil dikhane lage
ab wo fitne samajh mein aane lage
phir wahi intizar ki zanjir
raat aai diye jalane lage
chhanw paDne lagi sitaron ki
ruh ke zaKHm jhilmilane lage
haal ahwal kya bataen kise
sab irade gae Thikane lage
manzil-e-subh aa gai shayad
raste har taraf ko jaane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.