nazan bhi hai koi qismat par nakaam bhi koi hota hai
nāzāñ bhī hai koī qismat par nākām bhī koī hotā hai
ye duniyā hai is duniyā meñ ik hañstā hai ik rotā hai
jo rang-mahal thā ab hai ban jo sahrā thā vo hai gulshan
duniyā ke ajā.ib-ḳhāne meñ kyā kyā na tamāshā hotā hai
rahmat ke bharose par khetī sarsabz na hogī be-mehnat
jau bhī na milegā ai dahqāñ be-fā.eda gandum botā hai
jo ḳhum ke ḳhum barsāte the ik buuñd ke ab muhtāj haiñ vo
maiḳhāne meñ tere pīr-e-muġhāñ andher ye kyā kyā hotā hai
nazan bhi hai koi qismat par nakaam bhi koi hota hai
ye duniya hai is duniya mein ek hansta hai ek rota hai
jo rang-mahal tha ab hai ban jo sahra tha wo hai gulshan
duniya ke ajaib-KHane mein kya kya na tamasha hota hai
rahmat ke bharose par kheti sarsabz na hogi be-mehnat
jau bhi na milega ai dahqan be-faeda gandum bota hai
jo KHum ke KHum barsate the ek bund ke ab muhtaj hain wo
maiKHane mein tere pir-e-mughan andher ye kya kya hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.