nazuk hai dil-e-yar na ho gham ki KHabar kash
nazuk hai dil-e-yar na ho gham ki KHabar kash
Mohammad Zakariyya Khan
MORE BYMohammad Zakariyya Khan
nāzuk hai dil-e-yār na ho ġham kī ḳhabar kaash
naala mire dil meñ phire mahrūm-e-asar kaash
maiñ yaad meñ us kī dī-o-fardā ko na jānūñ
ye umr-e-do-roza yūñhī ho jaa.e basar kaash
nuqsān-e-dil-o-jāñ hai to raazī huuñ maiñ is par
kuchh aur mohabbat meñ na ho ḳhauf-o-ḳhatar kaash
ham dahr meñ har ek bad-o-nek se milte
lekin tire milne se kiye jaate hazar kaash
ushshāq ke nāloñ se jigar hote haiñ TukḌe
hamdam kisī be-dil kā na ho murġh-e-sahar kaash
ham qālib-e-ḳhākī ko liye phirte haiñ kab se
gir jaa.e kahīñ dosh se ye bār-e-safar kaash
betāb hai paiham kahīñ tīroñ se chhide ye
dil bā.is-e-āzār hai is kā ho zarar kaash
dikhlā.ūñ hujūm-e-ġham asīrān-e-vafā ko
de de koī ham-sāya-e-zindāñ mujhe ghar kaash
dil valvala-e-shauq kā anjām to jaane
dekheñ vo taġhāful se idhar ek nazar kaash
atvār zamāne ke badal jaate haiñ āḳhir
kuchh din ke liye ishq bhī ho jaa.e hunar kaash
is fitna-e-āfāq ko kyoñ dekhne nikle
rusvā-e-jahāñ hote na yuuñ shams-o-qamar kaash
maiñ ahd-e-javānī meñ falak martaba hotā
bār-e-ġham-e-ulfat se nigūñ hotī kamar kaash
be-dard nahīñ girya mirā vo bhī to jāneñ
ashkoñ meñ chalā aa.e koī laḳht-e-jigar kaash
mujh be-sar-o-pā ḳhāk-nashīñ ko bhī mile daad
ai bekasī-e-shauq vo aa jaa.eñ idhar kaash
be-minnat-e-darbāñ hai mujhe hasrat-e-dīdār
mahmil kā uḌe parda sar-e-rāhguzar kaash
nazuk hai dil-e-yar na ho gham ki KHabar kash
nala mere dil mein phire mahrum-e-asar kash
main yaad mein us ki di-o-farda ko na jaanun
ye umr-e-do-roza yunhi ho jae basar kash
nuqsan-e-dil-o-jaan hai to raazi hun main is par
kuchh aur mohabbat mein na ho KHauf-o-KHatar kash
hum dahr mein har ek bad-o-nek se milte
lekin tere milne se kiye jate hazar kash
ushshaq ke nalon se jigar hote hain TukDe
hamdam kisi be-dil ka na ho murgh-e-sahar kash
hum qalib-e-KHaki ko liye phirte hain kab se
gir jae kahin dosh se ye bar-e-safar kash
betab hai paiham kahin tiron se chhide ye
dil bais-e-azar hai is ka ho zarar kash
dikhlaun hujum-e-gham asiran-e-wafa ko
de de koi ham-saya-e-zindan mujhe ghar kash
dil walwala-e-shauq ka anjam to jaane
dekhen wo taghaful se idhar ek nazar kash
atwar zamane ke badal jate hain aaKHir
kuchh din ke liye ishq bhi ho jae hunar kash
is fitna-e-afaq ko kyon dekhne nikle
ruswa-e-jahan hote na yun shams-o-qamar kash
main ahd-e-jawani mein falak martaba hota
bar-e-gham-e-ulfat se nigun hoti kamar kash
be-dard nahin girya mera wo bhi to jaanen
ashkon mein chala aae koi laKHt-e-jigar kash
mujh be-sar-o-pa KHak-nashin ko bhi mile dad
ai bekasi-e-shauq wo aa jaen idhar kash
be-minnat-e-darban hai mujhe hasrat-e-didar
mahmil ka uDe parda sar-e-rahguzar kash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.