nabz ThanDi ho gai bimar ki
nabz ThanDī ho ga.ī bīmār kī
dil meñ hasrat rah ga.ī dīdār kī
misl-e-mūsā ho ga.e behosh ham
barq jab chamkī jamāl-e-yār kī
qabr meñ bhī dosto tanhā na huuñ
saath hai hasrat visāl-e-yār kī
zaḳhmī-e-tīr-e-nigāh-e-nāz ko
chāhiye paTTī visāl-e-yār kī
jhuk ga.ī gardan hamārī ḳhud-baḳhud
tā na ḳhālī zarb ho dildār kī
mujh se parda ġhair se be-pardagī
kyā nirālī hai adā dildār kī
tum se shorā-e-vatan ko ai 'jalāl'
taab bhī to hai nahīñ guftār kī
nabz ThanDi ho gai bimar ki
dil mein hasrat rah gai didar ki
misl-e-musa ho gae behosh hum
barq jab chamki jamal-e-yar ki
qabr mein bhi dosto tanha na hun
sath hai hasrat visal-e-yar ki
zaKHmi-e-tir-e-nigah-e-naz ko
chahiye paTTi visal-e-yar ki
jhuk gai gardan hamari KHud-baKHud
ta na KHali zarb ho dildar ki
mujh se parda ghair se be-pardagi
kya nirali hai ada dildar ki
tum se shora-e-watan ko ai 'jalal'
tab bhi to hai nahin guftar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.