naddi ye jaise mauj mein dariya se ja mile
naddī ye jaise mauj meñ dariyā se jā mile
tum se kahīñ milūñ maiñ agar rāsta mile
miltī hai ek saañs kī mohlat kabhī kabhī
shāyad ye raat bhī tirī sub.hoñ se jā mile
jo bhī milā vo apnī anā kā asiir thā
insāñ ko DhūñDne meñ ga.ī to ḳhudā mile
is ahd-e-intishār meñ kyā ittifāq hai
dard-o-alam ye ranj-o-malāl ek jā mile
dil meñ zarā ḳhulūs na mehr-o-vafā kā rañg
rasman bahut 'azīz bahut aqrabā mile
merī shikast meñ mire kuchh mehrbāñ bhī the
merī safeñ jo chhoḌ ke dushman se jā mile
us samt se bhī guzre na.ī rut kā kārvāñ
ġhāroñ ke bāsiyoñ ko bhī taaza havā mile
'jānāñ' ye zindagī ke 'ajab sānehāt haiñ
kuchh log apne-āp se aksar ḳhafā mile
naddi ye jaise mauj mein dariya se ja mile
tum se kahin milun main agar rasta mile
milti hai ek sans ki mohlat kabhi kabhi
shayad ye raat bhi teri subhon se ja mile
jo bhi mila wo apni ana ka asir tha
insan ko DhunDne mein gai to KHuda mile
is ahd-e-intishaar mein kya ittifaq hai
dard-o-alam ye ranj-o-malal ek ja mile
dil mein zara KHulus na mehr-o-wafa ka rang
rasman bahut 'aziz bahut aqraba mile
meri shikast mein mere kuchh mehrban bhi the
meri safen jo chhoD ke dushman se ja mile
us samt se bhi guzre nai rut ka karwan
ghaaron ke basiyon ko bhi taza hawa mile
'jaanan' ye zindagi ke 'ajab sanehat hain
kuchh log apne-ap se aksar KHafa mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.