naddiyon ke pani mein chuDiyan khanakti hain
naddiyoñ ke paanī meñ chūḌiyāñ khanaktī haiñ
dard kī ravānī meñ chūḌiyāñ khanaktī haiñ
yaad jab vo aatī hai saaz bajne lagte haiñ
pyaar kī nishānī meñ chūḌiyāñ khanaktī haiñ
ik dhanak utartī hai us ke saath āñgan meñ
rang āsmānī meñ chūḌiyāñ khanaktī haiñ
lafz gungunāte haiñ sub.h ke ujāle meñ
husn-e-naujavānī meñ chūḌiyāñ khanaktī haiñ
aaj yād-e-rafta ne sair kī peshawar kī
ab bhī qissa-ḳhvānī meñ chūḌiyāñ khanaktī haiñ
jab alaav raushan ho log baiTh jaate haiñ
raat bhar kahānī meñ chūḌiyāñ khanaktī haiñ
hai yaqīñ gumāñ jaisā aur gumāñ yaqīñ jaisā
kis kī ḳhush-gumānī meñ chūḌiyāñ khanaktī haiñ
intizār kartā hai aaj bhī tirā 'tāhir'
ab bhī rut suhānī meñ chūḌiyāñ khanaktī haiñ
naddiyon ke pani mein chuDiyan khanakti hain
dard ki rawani mein chuDiyan khanakti hain
yaad jab wo aati hai saz bajne lagte hain
pyar ki nishani mein chuDiyan khanakti hain
ek dhanak utarti hai us ke sath aangan mein
rang aasmani mein chuDiyan khanakti hain
lafz gungunate hain subh ke ujale mein
husn-e-naujawani mein chuDiyan khanakti hain
aaj yaad-e-rafta ne sair ki peshawar ki
ab bhi qissa-KHwani mein chuDiyan khanakti hain
jab alaw raushan ho log baiTh jate hain
raat bhar kahani mein chuDiyan khanakti hain
hai yaqin guman jaisa aur guman yaqin jaisa
kis ki KHush-gumani mein chuDiyan khanakti hain
intizar karta hai aaj bhi tera 'tahir'
ab bhi rut suhani mein chuDiyan khanakti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.