nadi ehsas ki chaDhti rahi hai
nadī ehsās kī chaḌhtī rahī hai
vafā kī raah meñ baḌhtī rahī hai
kisī se jang kyā laḌkī kare vo
jo apne aap se laḌtī rahī hai
bulandī par pahuñch kar kyā vo pighle
pahāḌoñ par baraf paḌtī rahī hai
sitāra ban ke terī raah meñ hai
jo afshāñ maañg se jhaḌtī rahī hai
tumhāre haq meñ kaise faisla duuñ
anā mujh se mirī aḌtī rahī hai
bachā kar qabr se le aa.e jis ko
dar-o-dīvār meñ gaḌtī rahī hai
nadi ehsas ki chaDhti rahi hai
wafa ki rah mein baDhti rahi hai
kisi se jang kya laDki kare wo
jo apne aap se laDti rahi hai
bulandi par pahunch kar kya wo pighle
pahaDon par baraf paDti rahi hai
sitara ban ke teri rah mein hai
jo afshan mang se jhaDti rahi hai
tumhaare haq mein kaise faisla dun
ana mujh se meri aDti rahi hai
bacha kar qabr se le aae jis ko
dar-o-diwar mein gaDti rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.