nadi thi kashtiyan thin chandni thi jharna tha
nadī thī kashtiyāñ thiiñ chāñdnī thī jharnā thā
guzar gayā jo zamāna kahāñ guzarnā thā
mujhī ko ronā paḌā ratjage kā jashn jo thā
shab-e-firāq vo taara nahīñ utarnā thā
mire jalāl ko karnā thā ḳham sar-e-taslīm
tire jamāl kā shīrāza bhī bikharnā thā
tire junūn ne ik naam de diyā varna
mujhe to yuuñ bhī ye sahrā ubuur karnā thā
ik aisā zaḳhm ki jis par ḳhizāñ kā saaya na thā
ik aisā pal ki jo har haal meñ Thaharnā thā
nadi thi kashtiyan thin chandni thi jharna tha
guzar gaya jo zamana kahan guzarna tha
mujhi ko rona paDa ratjage ka jashn jo tha
shab-e-firaq wo tara nahin utarna tha
mere jalal ko karna tha KHam sar-e-taslim
tere jamal ka shiraaza bhi bikharna tha
tere junun ne ek nam de diya warna
mujhe to yun bhi ye sahra ubur karna tha
ek aisa zaKHm ki jis par KHizan ka saya na tha
ek aisa pal ki jo har haal mein Thaharna tha
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 27)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.