nae andaz se wo har sitam ijad karte hain
na.e andāz se vo har sitam ījād karte haiñ
ba-zāhir daad hotī hai magar bedād karte haiñ
nazar ke sāmne jān-e-nazar jab tum nahīñ hote
tumhārī yaad se ham bazm-e-dil ābād karte haiñ
chaman vāloñ kī jān-o-dil pe vo guzrī bahāroñ meñ
chaman vaale bahāroñ meñ ḳhizāñ ko yaad karte haiñ
zamīñ hī kyā laraz jaatā hai ḳhud sayyād kā dil bhī
taḌap kar jab asīrān-e-qafas fariyād karte haiñ
'razā' ham ābla-pā is tarah guzre haiñ kāñToñ se
ki vo aksar mohabbat se hamīñ ko yaad karte haiñ
nae andaz se wo har sitam ijad karte hain
ba-zahir dad hoti hai magar bedad karte hain
nazar ke samne jaan-e-nazar jab tum nahin hote
tumhaari yaad se hum bazm-e-dil aabaad karte hain
chaman walon ki jaan-o-dil pe wo guzri bahaaron mein
chaman wale bahaaron mein KHizan ko yaad karte hain
zamin hi kya laraz jata hai KHud sayyaad ka dil bhi
taDap kar jab asiran-e-qafas fariyaad karte hain
'raza' hum aabla-pa is tarah guzre hain kanTon se
ki wo aksar mohabbat se hamin ko yaad karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.