nae andaz se wo mujhko saza dene laga
na.e andāz se vo mujh ko sazā dene lagā
jab milūñ maiñ mujhe jiine kī duā dene lagā
us ke qadmoñ ko haqā.eq ne na chhoḌā to vo shaḳhs
bhāgte lamhoñ ko ghabrā ke sadā dene lagā
kis ne kal raat mire sahn meñ patthar pheñke
ye muamma na khulā jab to maza dene lagā
chehre dhuñdlāne lage jab bhī rafīqoñ ke 'vaqār'
apne ā.īnoñ ko maiñ aur jilā dene lagā
nae andaz se wo mujh ko saza dene laga
jab milun main mujhe jine ki dua dene laga
us ke qadmon ko haqaeq ne na chhoDa to wo shaKHs
bhagte lamhon ko ghabra ke sada dene laga
kis ne kal raat mere sahn mein patthar phenke
ye muamma na khula jab to maza dene laga
chehre dhundlane lage jab bhi rafiqon ke 'waqar'
apne aainon ko main aur jila dene laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.