nae chehre nae autar honge
na.e chehre na.e autār hoñge
zamāne meñ na.e fankār hoñge
hamāre sāmne hai dasht-e-nafrat
hamāre rāste dushvār hoñge
añdhere meñ hameñ rahnā paḌegā
agar ab bhī na ham bedār hoñge
abhī to chauñknā hai baaqī terā
kahānī meñ na.e kirdār hoñge
pareshāñ aadmī se aadmī hai
na.e kuchh aur bhī āzār hoñge
hameñ ma.alūm hai dushman hai buzdil
hamārī piiTh par hī vaar hoñge
agar puḳhta irāde hoñ to 'anvar'
ye sahrā bhī gul-o-gulzār hoñge
nae chehre nae autar honge
zamane mein nae fankar honge
hamare samne hai dasht-e-nafrat
hamare raste dushwar honge
andhere mein hamein rahna paDega
agar ab bhi na hum bedar honge
abhi to chaunkna hai baqi tera
kahani mein nae kirdar honge
pareshan aadmi se aadmi hai
nae kuchh aur bhi aazar honge
hamein malum hai dushman hai buzdil
hamari piTh par hi war honge
agar puKHta irade hon to 'anwar'
ye sahra bhi gul-o-gulzar honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.