nae dar pe aqidat ho gai hai
na.e dar pe 'aqīdat ho ga.ī hai
unheñ phir se mohabbat ho ga.ī hai
haqīqat ko fasāna kar diyā hai
farebī ab sadāqat ho ga.ī hai
na āñkhoñ meñ rahā paanī hayā kā
adab tahzīb ruḳhsat ho ga.ī hai
chalā jaanā tirā achchhā huā hai
tumhāre ġham se fursat ho ga.ī hai
tamāsha dekhnā jachtā nahīñ thā
magar ab is kī 'ādat ho ga.ī hai
maze se zindagī kaTtī thī lekin
ta'alluq meñ siyāsat ho ga.ī hai
jinheñ uñglī pakaḌ chalnā sikhāyā
unheñ mujh se 'adāvat ho ga.ī hai
bharosa yuuñ nahīñ karnā kisī pe
dikhāve kī sharāfat ho ga.ī hai
'abhay' ke chāhne vaale bahut the
ġhazal kah dī to aafat ho ga.ī hai
nae dar pe 'aqidat ho gai hai
unhen phir se mohabbat ho gai hai
haqiqat ko fasana kar diya hai
farebi ab sadaqat ho gai hai
na aankhon mein raha pani haya ka
adab tahzib ruKHsat ho gai hai
chala jaana tera achchha hua hai
tumhaare gham se fursat ho gai hai
tamasha dekhna jachta nahin tha
magar ab is ki 'adat ho gai hai
maze se zindagi kaTti thi lekin
ta'alluq mein siyasat ho gai hai
jinhen ungli pakaD chalna sikhaya
unhen mujh se 'adawat ho gai hai
bharosa yun nahin karna kisi pe
dikhawe ki sharafat ho gai hai
'abhay' ke chahne wale bahut the
ghazal kah di to aafat ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.