nae jaziron ki hum ko bhi chahaten thin bahut
na.e jazīroñ kī ham ko bhī chāhateñ thiiñ bahut
hamārī raah meñ lekin rivāyateñ thiiñ bahut
kahīñ bhī aag lage us kā naam aatā hai
use charāġh jalāne kī ādateñ thiiñ bahut
kisī kā lahja yaqīnan fareb lagtā thā
magar fareb ke pīchhe sadāqateñ thiiñ bahut
añdhere zaḳhm masā.il dhuāñ lahū aañsū
gañvāte ham bhī kahāñ tak virāsateñ thiiñ bahut
vo jis kī guftugū phūloñ kā isti.āra thī
ḳhamoshiyoñ meñ bhī us kī fasāhateñ thiiñ bahut
utārā jaatā thā sadqa hamārī jaan kā bhī
hamāre dam se bhī mansūb chāhateñ thiiñ bahut
bahut samajhte haiñ thoḌe likhe ko ham 'shādāb'
hamāre vāste ik do shikāyateñ thiiñ bahut
nae jaziron ki hum ko bhi chahaten thin bahut
hamari rah mein lekin riwayaten thin bahut
kahin bhi aag lage us ka nam aata hai
use charagh jalane ki aadaten thin bahut
kisi ka lahja yaqinan fareb lagta tha
magar fareb ke pichhe sadaqaten thin bahut
andhere zaKHm masail dhuan lahu aansu
ganwate hum bhi kahan tak wirasaten thin bahut
wo jis ki guftugu phulon ka istiara thi
KHamoshiyon mein bhi us ki fasahaten thin bahut
utara jata tha sadqa hamari jaan ka bhi
hamare dam se bhi mansub chahaten thin bahut
bahut samajhte hain thoDe likhe ko hum 'shadab'
hamare waste ek do shikayaten thin bahut
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 457)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.