nae ke waste sara purana waqt lena hai
na.e ke vāste saarā purānā vaqt lenā hai
ghaḌī ne Thiik hone meñ ziyāda vaqt lenā hai
abhī se kyuuñ lagā baiThe ho andāza janāze kā
abhī to rone vāloñ ne bahut sā vaqt lenā hai
faqat saaya nahīñ hai chāhiye bāteñ bhī karnī haiñ
musāfir ne shajar kā achchhā-ḳhāsā vaqt lenā hai
yūñhī be-kār meñ baiThe hue be-kār logoñ ne
ka.ī kāmoñ ke puurā karne jitnā vaqt lenā hai
samajhdārī se karnī hai mukammal zindagī apnī
samajhdārī se sab ne apnā apnā vaqt lenā hai
nae ke waste sara purana waqt lena hai
ghaDi ne Thik hone mein ziyaada waqt lena hai
abhi se kyun laga baiThe ho andaza janaze ka
abhi to rone walon ne bahut sa waqt lena hai
faqat saya nahin hai chahiye baaten bhi karni hain
musafir ne shajar ka achchha-KHasa waqt lena hai
yunhi be-kar mein baiThe hue be-kar logon ne
kai kaamon ke pura karne jitna waqt lena hai
samajhdari se karni hai mukammal zindagi apni
samajhdari se sab ne apna apna waqt lena hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.