nae KHayalon se rabta kar nai zaminon pe shairi kar
nae KHayalon se rabta kar nai zaminon pe shairi kar
Shahnawaz Ansari
MORE BYShahnawaz Ansari
na.e ḳhayāloñ se rābta kar na.ī zamīnoñ pe shā.irī kar
jo ishq kartī haiñ shā.irī se ab un hasīnoñ pe shā.irī kar
siyāh rāteñ udaas jugnū aur us pe sūraj kī be-niyāzī
ab ek misrā tarāsh aise tū aaj tīnoñ pe shā.irī kar
samundaroñ ke vo shāhzāde tamām lahroñ se āshnā the
jinhoñ ne dariyā ke paañv bāñdhe the un safīnoñ pe shā.irī kar
tū nukta-chīnoñ kī baat mat kar ye apnī zid par aḌe raheñge
jo log pāgal haiñ mere jaise unhīñ zahīnoñ pe shā.irī kar
merī buzurgoñ se dostī hai so āstānoñ pe likh rahā huuñ
tū apne yāroñ se bad-gumāñ hai to āstīnoñ pe shā.irī kar
jo ghar basāne kī aarzū hai to apne ghar se nikāl ḳhud ko
abhī makānoñ pe Daal miTTī abhī makīnoñ pe shā.irī kar
nae KHayalon se rabta kar nai zaminon pe shairi kar
jo ishq karti hain shairi se ab un hasinon pe shairi kar
siyah raaten udas jugnu aur us pe suraj ki be-niyazi
ab ek misra tarash aise tu aaj tinon pe shairi kar
samundaron ke wo shahzade tamam lahron se aashna the
jinhon ne dariya ke panw bandhe the un safinon pe shairi kar
tu nukta-chinon ki baat mat kar ye apni zid par aDe rahenge
jo log pagal hain mere jaise unhin zahinon pe shairi kar
meri buzurgon se dosti hai so aastanon pe likh raha hun
tu apne yaron se bad-guman hai to aastinon pe shairi kar
jo ghar basane ki aarzu hai to apne ghar se nikal KHud ko
abhi makanon pe Dal miTTi abhi makinon pe shairi kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.