nae mizaj ki tashkil karna chahte hain
na.e mizāj kī tashkīl karnā chāhte haiñ
ham apne aap ko tabdīl karnā chāhte haiñ
qubūl tark-e-ta.alluq nahīñ hai lekin ham
tumhāre hukm kī ta.amīl karnā chāhte haiñ
ġhamoñ ke fiil na Dhā deñ kahīñ ye ka.aba-e-dil
so ham duā-e-abābīl karnā chāhte haiñ
hamāre jalne se miltī hai raushnī tum ko
to raushan ab yahī qindīl karnā chāhte haiñ
jab un kī koī bhī ta.abīr pā nahīñ sakte
havā meñ ḳhvāboñ ko tahlīl karnā chāhte haiñ
kitāb-e-zīst meñ mushkil hai bāb-e-ishq 'nadīm'
ham aise baab kī takmīl karnā chāhte haiñ
nae mizaj ki tashkil karna chahte hain
hum apne aap ko tabdil karna chahte hain
qubul tark-e-talluq nahin hai lekin hum
tumhaare hukm ki tamil karna chahte hain
ghamon ke fil na Dha den kahin ye kaba-e-dil
so hum dua-e-ababil karna chahte hain
hamare jalne se milti hai raushni tum ko
to raushan ab yahi qindil karna chahte hain
jab un ki koi bhi tabir pa nahin sakte
hawa mein KHwabon ko tahlil karna chahte hain
kitab-e-zist mein mushkil hai bab-e-ishq 'nadim'
hum aise bab ki takmil karna chahte hain
- Book : Sare Khawab us ke hain (Pg. 66)
- Author : Farhat Nadeem Humayun
- Publication : Mugals Goup Of Publications (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.