nae nae jo parinde hain sab uDan mein hain
na.e na.e jo parinde haiñ sab uḌaan meñ haiñ
ḳhirad ke maare hue ab talak gumān meñ haiñ
abhī sañbhāl ke rakkhe haiñ tiir tarkash meñ
so mumkināt abhī tak mirī kamān meñ haiñ
mujhe hai pās-e-vafā varna un se kah Dālūñ
huzūr jhol bahut aap ke bayān meñ haiñ
abhī bhī ḳhāna-e-dil meñ haiñ un kī āvāzeñ
makīñ chale ga.e yādeñ usī makān meñ haiñ
vafā-parastoñ kī qismat meñ saaya nā bhī sahī
magar ye kyā ki daġhābāz sā.ebān meñ haiñ
zabāñ ko sī ke rakho yā kaTāo sar apne
yahāñ ḳhamosh haiñ jo bas vahī amaan meñ haiñ
har ek saañs pe tāvān hai yahāñ lekin
hazār marne ke hiile tire jahān meñ haiñ
nae nae jo parinde hain sab uDan mein hain
KHirad ke mare hue ab talak guman mein hain
abhi sanbhaal ke rakkhe hain tir tarkash mein
so mumkinat abhi tak meri kaman mein hain
mujhe hai pas-e-wafa warna un se kah Dalun
huzur jhol bahut aap ke bayan mein hain
abhi bhi KHana-e-dil mein hain un ki aawazen
makin chale gae yaaden usi makan mein hain
wafa-paraston ki qismat mein saya na bhi sahi
magar ye kya ki daghabaz saeban mein hain
zaban ko si ke rakho ya kaTao sar apne
yahan KHamosh hain jo bas wahi aman mein hain
har ek sans pe tawan hai yahan lekin
hazar marne ke hile tere jahan mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.