nae rishton se tu dil ka makan aabaad karta hai
na.e rishtoñ se tū dil kā makāñ ābād kartā hai
ḳhabar bhī hai tujhe ik shaḳhs tujh ko yaad kartā hai
na jaane kyuuñ zideñ aisī dil-e-nāshād kartā hai
jise maiñ bhūlnā chāhūñ usī ko yaad kartā hai
mahak terī tujhe taslīm karvā le to kaafī hai
ai mere phuul tū rañgoñ ko kyoñ barbād kartā hai
badaltā hai mirī zanjīr piñjra bhī badaltā hai
magar āzād kab mujh ko mirā sayyād kartā hai
parinda bhuul baiThā ḳhud hī jab parvāz ke ma.anā
karam-farmā batā ab kyoñ use āzād kartā hai
muqarrar hai ḳhizāñ kā ek din har haal meñ 'nik.hat'
bhalā gul-dān meñ ye phuul kyoñ fariyād kartā hai
nae rishton se tu dil ka makan aabaad karta hai
KHabar bhi hai tujhe ek shaKHs tujh ko yaad karta hai
na jaane kyun ziden aisi dil-e-nashad karta hai
jise main bhulna chahun usi ko yaad karta hai
mahak teri tujhe taslim karwa le to kafi hai
ai mere phul tu rangon ko kyon barbaad karta hai
badalta hai meri zanjir pinjra bhi badalta hai
magar aazad kab mujh ko mera sayyaad karta hai
parinda bhul baiTha KHud hi jab parwaz ke mana
karam-farma bata ab kyon use aazad karta hai
muqarrar hai KHizan ka ek din har haal mein 'nikhat'
bhala gul-dan mein ye phul kyon fariyaad karta hai
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 32)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.