nae safar mein wo had se zyaada sanwar gaya hai
nae safar mein wo had se zyaada sanwar gaya hai
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
na.e safar meñ vo had se zyāda sañvar gayā hai
vo merā shīrāza jis kī ḳhātir bikhar gayā hai
nigāh-e-lutf-o-karam kā tālib banā huā huuñ
ye dil ajab tarz kī kasāfat se bhar gayā hai
nigāh-e-faqr-o-jamāl ne har kamāl baḳhshā
faqīr ke dar pe jab koī be-hunar gayā hai
na.e dīvānoñ ne dasht meñ raat kyā guzārī
ki vahshatoñ kā tamām nashsha utar gayā hai
hamāre raushan charāġh bhī bujh rahe haiñ 'jāmī'
hamārā barsoñ kā girya bhī be-asar gayā hai
nae safar mein wo had se zyaada sanwar gaya hai
wo mera shiraaza jis ki KHatir bikhar gaya hai
nigah-e-lutf-o-karam ka talib bana hua hun
ye dil ajab tarz ki kasafat se bhar gaya hai
nigah-e-faqr-o-jamal ne har kamal baKHsha
faqir ke dar pe jab koi be-hunar gaya hai
nae diwanon ne dasht mein raat kya guzari
ki wahshaton ka tamam nashsha utar gaya hai
hamare raushan charagh bhi bujh rahe hain 'jami'
hamara barson ka girya bhi be-asar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.