nae sire se nai rawani mein ja raha tha
na.e sire se na.ī ravānī meñ jā rahā thā
makāñ se apne maiñ lā-makānī meñ jā rahā thā
mujhe to aisā lagā ki sahrā bhī ik galī hai
maiñ apnī vahshat kī be-karānī meñ jā rahā thā
mujhe jo rokā thā nafratoñ ne rukā maiñ pal bhar
mohabbatoñ kī maiñ sargirānī meñ jā rahā thā
safar thā āsāñ usī ne us ko banāyā mushkil
vo zālimoñ kī jo hukmarānī meñ jā rahā thā
usī ne rokā to baat merī samajh meñ aa.ī
maiñ us kī jānib to be-dhyānī meñ jā rahā thā
dukhī thā itnā ki mujh ko kahnā nahīñ thā kuchh bhī
zabāñ ke hote maiñ be-zabānī meñ jā rahā thā
payām aayā ke lauT jaao yahīñ se fauran
maiñ us kī mahfil meñ ḳhush-gumānī meñ jā rahā thā
khulī jo āñkheñ to apne bistar pe maiñ paḌā thā
bhañvar kī jānib maiñ gahre paanī meñ jā rahā thā
nae sire se nai rawani mein ja raha tha
makan se apne main la-makani mein ja raha tha
mujhe to aisa laga ki sahra bhi ek gali hai
main apni wahshat ki be-karani mein ja raha tha
mujhe jo roka tha nafraton ne ruka main pal bhar
mohabbaton ki main sargirani mein ja raha tha
safar tha aasan usi ne us ko banaya mushkil
wo zalimon ki jo hukmarani mein ja raha tha
usi ne roka to baat meri samajh mein aai
main us ki jaanib to be-dhyani mein ja raha tha
dukhi tha itna ki mujh ko kahna nahin tha kuchh bhi
zaban ke hote main be-zabani mein ja raha tha
payam aaya ke lauT jao yahin se fauran
main us ki mahfil mein KHush-gumani mein ja raha tha
khuli jo aankhen to apne bistar pe main paDa tha
bhanwar ki jaanib main gahre pani mein ja raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.