nae zamane ki surat mein Dhalna chahiye tha
na.e zamāne kī sūrat meñ Dhalnā chāhiye thā
hamāre shahr kā mausam badalnā chāhiye thā
ye shoḳhiyāñ ye tabassum pe zulf lahrānā
inhīñ adāoñ pe dil ko machalnā chāhiye thā
bichhaḌ ke us se ye ehsās mujh ko hotā hai
jo 'ishq hai to use bhī taḌapnā chāhiye thā
tumhārī raah meñ pathrā ga.iiñ mirī āñkheñ
ab intizār kā patthar pighalnā chāhiye thā
maiñ jis kī āñkhoñ meñ Duubā huuñ ek muddat se
had-e-badan se use bhī nikalnā chāhiye thā
ishāra kis kā thā jo Duub kar nikal aayā
ye āftāb se nukta samajhnā chāhiye thā
jo jaañ ke ḳhauf se zālim se laḌ sakā na 'kashish'
use bhī haq kī vakālat to karnā chāhiye thā
nae zamane ki surat mein Dhalna chahiye tha
hamare shahr ka mausam badalna chahiye tha
ye shoKHiyan ye tabassum pe zulf lahrana
inhin adaon pe dil ko machalna chahiye tha
bichhaD ke us se ye ehsas mujh ko hota hai
jo 'ishq hai to use bhi taDapna chahiye tha
tumhaari rah mein pathra gain meri aankhen
ab intizar ka patthar pighalna chahiye tha
main jis ki aankhon mein Duba hun ek muddat se
had-e-badan se use bhi nikalna chahiye tha
ishaara kis ka tha jo Dub kar nikal aaya
ye aaftab se nukta samajhna chahiye tha
jo jaan ke KHauf se zalim se laD saka na 'kashish'
use bhi haq ki wakalat to karna chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.