nafas-e-arzu hai shoala-taraaz
nafas-e-ārzū hai sho.ala-tarāz
soz-e-ehsās terī umr darāz
ḳhush haiñ khā kar fareb-e-'ishva-e-nāz
kis qadar sāda-dil haiñ ahl-e-niyāz
ban ga.ī gardish-e-jahāñ kī harīf
husn kī ik nigāh-e-fitna-tarāz
naam sunte hī āshiyāne kā
lauT aa.ī hai tāqat-e-parvāz
ḳhalish-e-dil baḌhā ga.ī kuchh aur
aap kī chashm-e-iltifāt-navāz
kahīñ ye un kī rah-guzar to nahīñ
jhuk paḌī hai 'ġhanī' jabīn-e-niyāz
ek hī saaz ke haiñ do naġhme
merī ḳhāmoshī aap kī āvāz
nafas-e-arzu hai shoala-taraaz
soz-e-ehsas teri umr daraaz
KHush hain kha kar fareb-e-'ishwa-e-naz
kis qadar sada-dil hain ahl-e-niyaz
ban gai gardish-e-jahan ki harif
husn ki ek nigah-e-fitna-taraaz
nam sunte hi aashiyane ka
lauT aai hai taqat-e-parwaz
KHalish-e-dil baDha gai kuchh aur
aap ki chashm-e-iltifat-nawaz
kahin ye un ki rah-guzar to nahin
jhuk paDi hai 'ghani' jabin-e-niyaz
ek hi saz ke hain do naghme
meri KHamoshi aap ki aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.