nafas nafas hai bhanwar chaDhti shab ka manzar hai
nafas nafas hai bhanwar chaDhti shab ka manzar hai
Musavvir Sabzwari
MORE BYMusavvir Sabzwari
nafas nafas hai bhañvar chaḌhtī shab kā manzar hai
hisār-e-jism meñ ik chīḳhtā samundar hai
havā-e-tāza ke mānind mat lipaT mujh se
ga.ī rutoñ kā bahut zahr mere andar hai
nikal ke jā.ūñ gunah-gār-e-tīrgī se kidhar
har ek haath meñ ab raushnī kā patthar hai
ik aag uḌtī huī sī vahī ta.āqub meñ
badan kī raakh abhī shāyad badan ke andar hai
tū kyuuñ uḌhātā hai mujh ko ye raushnī kī ridā
mujhe ḳhabar hai añdherā mirā muqaddar hai
salīb-e-shab se 'musavvir' sahar ke maqtal tak
kahāñ mileñ ki har ik fāsla barābar hai
nafas nafas hai bhanwar chaDhti shab ka manzar hai
hisar-e-jism mein ek chiKHta samundar hai
hawa-e-taza ke manind mat lipaT mujh se
gai ruton ka bahut zahr mere andar hai
nikal ke jaun gunah-gar-e-tirgi se kidhar
har ek hath mein ab raushni ka patthar hai
ek aag uDti hui si wahi taaqub mein
badan ki rakh abhi shayad badan ke andar hai
tu kyun uDhata hai mujh ko ye raushni ki rida
mujhe KHabar hai andhera mera muqaddar hai
salib-e-shab se 'musawwir' sahar ke maqtal tak
kahan milen ki har ek fasla barabar hai
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 96)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.