nafas nafas hai ki sahma hua sa lagta hai
nafas nafas hai ki sahmā huā sā lagtā hai
sukūt-e-shām kā saaya ghanā sā lagtā hai
chalo ki us se bhī kuchh der guftugū kar liiñ
ye ajnabī to musībat-zada sā lagtā hai
yahāñ kī ḳhaak se aatī hai bū-e-dil-dārī
har ek shaḳhs mujhe āshnā sā lagtā hai
yaqīn hai ki vo manzil milegī ai 'dilkash'
abhī safar tirā sabr-āzmā sā lagtā hai
nafas nafas hai ki sahma hua sa lagta hai
sukut-e-sham ka saya ghana sa lagta hai
chalo ki us se bhi kuchh der guftugu kar lin
ye ajnabi to musibat-zada sa lagta hai
yahan ki KHak se aati hai bu-e-dil-dari
har ek shaKHs mujhe aashna sa lagta hai
yaqin hai ki wo manzil milegi ai 'dilkash'
abhi safar tera sabr-azma sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.