nafas nafas mein har ek pal intishaar sa kuchh
nafas nafas meñ har ek pal intishār sā kuchh
lahū kī bārūd meñ dharā hai sharār sā kuchh
tujhe maiñ chhū chhū ke apnī miTTī basā rahā huuñ
ab aa rahā hai zarā zarā e.atibār sā kuchh
hamārī bastī meñ kaun phir mo'atabar rahegā
ki ā.inoñ meñ utar rahā hai ġhubār sā kuchh
añdherī shab meñ charāġh sā jal rahī hai mayyat
ragoñ meñ shāyad ki rah gayā hai sharār sā kuchh
maiñ ek hī kyā vahāñ sabhī zār-zār ro.e
vo khoī khoī bajā rahī thī sitār sā kuchh
charāġh hāthoñ meñ le ke jal-nāriyāñ chalī haiñ
tah-e-samundar dikhā.ī deve dayār sā kuchh
nafas nafas mein har ek pal intishaar sa kuchh
lahu ki barud mein dhara hai sharar sa kuchh
tujhe main chhu chhu ke apni miTTi basa raha hun
ab aa raha hai zara zara eatibar sa kuchh
hamari basti mein kaun phir mo'atabar rahega
ki aainon mein utar raha hai ghubar sa kuchh
andheri shab mein charagh sa jal rahi hai mayyat
ragon mein shayad ki rah gaya hai sharar sa kuchh
main ek hi kya wahan sabhi zar-zar roe
wo khoi khoi baja rahi thi sitar sa kuchh
charagh hathon mein le ke jal-nariyan chali hain
tah-e-samundar dikhai dewe dayar sa kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.