nafi ko qarya-e-isbaat se nikalta hun
nafī ko qarya-e-isbāt se nikāltā huuñ
maiñ apnī zaat tirī zaat se nikāltā huuñ
kashīd kartā huuñ maiñ din kī aag se ThanDak
aur apnī dhuup kahīñ raat se nikāltā huuñ
tū ek ruḳh pe hai mahv-e-kalām lekin maiñ
ka.ī ma.ānī tirī baat se nikāltā huuñ
duā ke haale banā kar tire jamāl ke gird
tujhe maiñ gardish-o-āfāt se nikāltā huuñ
mirā kamāl maiñ apnī bulandiyāñ 'shahzād'
haqīr-o-past maqāmāt se nikāltā huuñ
nafi ko qarya-e-isbaat se nikalta hun
main apni zat teri zat se nikalta hun
kashid karta hun main din ki aag se ThanDak
aur apni dhup kahin raat se nikalta hun
tu ek ruKH pe hai mahw-e-kalam lekin main
kai maani teri baat se nikalta hun
dua ke haale bana kar tere jamal ke gird
tujhe main gardish-o-afat se nikalta hun
mera kamal main apni bulandiyan 'shahzad'
haqir-o-past maqamat se nikalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.