nafrat hai faza mein to mohabbat bhi bahut hai
nafrat hai fazā meñ to mohabbat bhī bahut hai
jiine ke liye dard kī daulat bhī bahut hai
hai dast-e-sitam-gar ko agar fursat-e-āzār
dukhiyāroñ meñ dukh sahne kī himmat bhī bahut hai
kuchh sham.a ki hai husn-e-jahāñ-soz kā jaadū
parvānoñ meñ kuchh shauq-e-shahādat bhī bahut hai
mā.il-ba-karam bhī huā karte haiñ vo aksar
ta.azīr-pasand apnī tabī.at bhī bahut hai
haiñ qatl pe āmāda hama-vaqt vo us ke
jis ke liye āñkhoñ meñ muravvat bhī bahut hai
ab dast-e-masīhā kī karāmāt haiñ vo chand
marham bhī hai sāmān-e-jarāhat bhī bahut hai
nafrat hai faza mein to mohabbat bhi bahut hai
jine ke liye dard ki daulat bhi bahut hai
hai dast-e-sitam-gar ko agar fursat-e-azar
dukhiyaron mein dukh sahne ki himmat bhi bahut hai
kuchh shama ki hai husn-e-jahan-soz ka jadu
parwanon mein kuchh shauq-e-shahadat bhi bahut hai
mail-ba-karam bhi hua karte hain wo aksar
tazir-pasand apni tabiat bhi bahut hai
hain qatl pe aamada hama-waqt wo us ke
jis ke liye aankhon mein murawwat bhi bahut hai
ab dast-e-masiha ki karamat hain wo chand
marham bhi hai saman-e-jarahat bhi bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.