nafrat ke andheron ko miTa kyon nahin dete
nafrat ke añdheroñ ko miTā kyoñ nahīñ dete
lau sham-e-mohabbat kī baḌhā kyoñ nahīñ dete
chāhat hai agar amn kī ai amn ke ḳhūgar
dīvār ta.assub kī girā kyoñ nahīñ dete
kyoñ karte ho ḳhuuñ adl kā mansab kī ihānat
munsif ho to mujrim ko sazā kyoñ nahīñ dete
ai rahbaro tum jaise ho guftār meñ yaktā
kirdār kā sikka bhī biThā kyoñ nahīñ dete
tāriq sī futūhāt kā armān agar hai
sāhil pe safīne ko jalā kyoñ nahīñ dete
bante ho jo tum usva-e-aslāf ke pairav
dushnām-tarāzoñ ko duā kyoñ nahīñ dete
saf meñ jo adū sūrat-e-ahbāb haiñ un ke
chehroñ se hijābāt uThā kyoñ nahīñ dete
kyoñ jaate ho tum mujh ko lagāte hue Thokar
patthar huuñ to raste se haTā kyoñ nahīñ dete
'ahsan' tumheñ paanā hai jo me.arāj-e-bulandī
sar rab ke huzūr apnā jhukā kyoñ nahīñ dete
nafrat ke andheron ko miTa kyon nahin dete
lau sham-e-mohabbat ki baDha kyon nahin dete
chahat hai agar amn ki ai amn ke KHugar
diwar tassub ki gira kyon nahin dete
kyon karte ho KHun adl ka mansab ki ihanat
munsif ho to mujrim ko saza kyon nahin dete
ai rahbaro tum jaise ho guftar mein yakta
kirdar ka sikka bhi biTha kyon nahin dete
tariq si futuhat ka arman agar hai
sahil pe safine ko jala kyon nahin dete
bante ho jo tum uswa-e-aslaf ke pairaw
dushnam-taraazon ko dua kyon nahin dete
saf mein jo adu surat-e-ahbab hain un ke
chehron se hijabaat uTha kyon nahin dete
kyon jate ho tum mujh ko lagate hue Thokar
patthar hun to raste se haTa kyon nahin dete
'ahsan' tumhein pana hai jo mearaj-e-bulandi
sar rab ke huzur apna jhuka kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.