nafrat ki aandhiyon ko mohabbat mein Dhaal kar
nafrat kī āñdhiyoñ ko mohabbat meñ Dhaal kar
tanhā khaḌī huuñ dasht meñ rishte sambhāl kar
mujh ko to tere dard bhī tujh se aziiz haiñ
baiThī huuñ dekh pyaar se jholī meñ Daal kar
ta.abīr DhūñDte hue rasta bhaTak ga.iiñ
ḳhvāboñ samet pheñk diiñ āñkheñ nikāl kar
shohrat kamā rahe ho tum aḳhbār kī tarah
apne parā.e logoñ kī pagḌī uchhāl kar
ik ḳhush-gumān aks kī bai'at se peshtar
ḳhush-baḳht aa.ine se to rishta bahāl kar
chhāyā huā hai baaġh meñ ḳhauf-o-hirās kyoñ
sahme hue gulāb haiñ ḳhushbū sambhāl kar
yā-rab kahāñ se laate haiñ ye log hausla
kāñToñ meñ pheñk dete haiñ phūloñ ko paal kar
nafrat ki aandhiyon ko mohabbat mein Dhaal kar
tanha khaDi hun dasht mein rishte sambhaal kar
mujh ko to tere dard bhi tujh se aziz hain
baiThi hun dekh pyar se jholi mein Dal kar
tabir DhunDte hue rasta bhaTak gain
KHwabon samet phenk din aankhen nikal kar
shohrat kama rahe ho tum aKHbar ki tarah
apne parae logon ki pagDi uchhaal kar
ek KHush-guman aks ki bai'at se peshtar
KHush-baKHt aaine se to rishta bahaal kar
chhaya hua hai bagh mein KHauf-o-hiras kyon
sahme hue gulab hain KHushbu sambhaal kar
ya-rab kahan se late hain ye log hausla
kanTon mein phenk dete hain phulon ko pal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.