nafrat qubul jo mile thoDa sa pyar bhi
nafrat qubūl jo mile thoḌā sā pyaar bhī
pahlū meñ gul ke shāḳh pe hote haiñ ḳhaar bhī
sab par huā ayaañ mirā hāl-e-shikast-e-dil
jab tak the ashk āñkhoñ meñ the rāzdār bhī
aa jā ki hai fasurda har ik gul tire baġhair
hai kis qadar udaas ye fasl-e-bahār bhī
ummīd ḳhatm tār-e-nafas TūTne lagā
kab saath chhoḌ de ye tirā intizār bhī
vahshat ne noch Daalā mire jism kā libās
baaqī rahe kahāñ vo garebāñ ke taar bhī
hotī nahīñ qubūl mirī koī bhī duā
shāyad ki hai ḳhafā mirā parvardigār bhī
'rāhī' milegī manzil-e-maqsūd kyā ḳhabar
hai qāfile kī raah meñ gard-o-ġhubār bhī
nafrat qubul jo mile thoDa sa pyar bhi
pahlu mein gul ke shaKH pe hote hain KHar bhi
sab par hua ayan mera haal-e-shikast-e-dil
jab tak the ashk aankhon mein the raazdar bhi
aa ja ki hai fasurda har ek gul tere baghair
hai kis qadar udas ye fasl-e-bahaar bhi
ummid KHatm tar-e-nafas TuTne laga
kab sath chhoD de ye tera intizar bhi
wahshat ne noch Dala mere jism ka libas
baqi rahe kahan wo gareban ke tar bhi
hoti nahin qubul meri koi bhi dua
shayad ki hai KHafa mera parwardigar bhi
'rahi' milegi manzil-e-maqsud kya KHabar
hai qafile ki rah mein gard-o-ghubar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.