nafrat rahi kisi se mohabbat kisi ke sath
nafrat rahī kisī se mohabbat kisī ke saath
nibh to ga.ī mirī ḳhush-o-nā-ḳhush sabhī ke saath
chalte ho bazm-e-va.az ko yārān-e-mai-kada
ho jaa.e kār-e-ḳhair bhī kuchh dil-lagī ke saath
ai chashm-e-hosh dekh gul-e-nau-shagufta meñ
kaasa savāl kā kulah-e-khusravī ke saath
kal un se jhūT-mūT kā va.ada karā liyā
aaj un kā intizār hai kis be-kalī ke saath
hālat ye hai kabhī jo hañsī aa ga.ī mujhe
aañsū bhī kuchh nikal paḌe 'mohsin' hañsī ke saath
nafrat rahi kisi se mohabbat kisi ke sath
nibh to gai meri KHush-o-na-KHush sabhi ke sath
chalte ho bazm-e-waz ko yaran-e-mai-kada
ho jae kar-e-KHair bhi kuchh dil-lagi ke sath
ai chashm-e-hosh dekh gul-e-nau-shagufta mein
kasa sawal ka kulah-e-khusrawi ke sath
kal un se jhuT-muT ka wada kara liya
aaj un ka intizar hai kis be-kali ke sath
haalat ye hai kabhi jo hansi aa gai mujhe
aansu bhi kuchh nikal paDe 'mohsin' hansi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.