nafraten jab jab baDhengi dekhna
nafrateñ jab jab baḌheñgī dekhnā
bastiyāñ tab tab jaleñgī dekhnā
lakḌiyāñ jo rah ga.iiñ haiñ raakh meñ
aag kā bā'is baneñgī dekhnā
jis tarah tum jī rahī ho zindagī
muḳhtalif bāteñ baneñgī dekhnā
raushnī ke saath bas chalte raho
manzileñ mil kar raheñgī dekhnā
mar rahī haiñ ḳhvāhisheñ jo vaqt par
vaqt par vo jī uTheñgī dekhnā
baat ham meñ ho rahī hai jis tarah
saiñkaḌoñ bāteñ baneñgī dekhnā
raas ham ko aa rahī hai zindagī
diqqateñ baḌhne lageñgī dekhnā
nafraten jab jab baDhengi dekhna
bastiyan tab tab jalengi dekhna
lakDiyan jo rah gain hain rakh mein
aag ka ba'is banengi dekhna
jis tarah tum ji rahi ho zindagi
muKHtalif baaten banengi dekhna
raushni ke sath bas chalte raho
manzilen mil kar rahengi dekhna
mar rahi hain KHwahishen jo waqt par
waqt par wo ji uThengi dekhna
baat hum mein ho rahi hai jis tarah
sainkaDon baaten banengi dekhna
ras hum ko aa rahi hai zindagi
diqqaten baDhne lagengi dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.