nafraton ka kaam hi tha toDna toDa hamein
nafraton ka kaam hi tha toDna toDa hamein
Dharvendra Singh Bedar
MORE BYDharvendra Singh Bedar
nafratoñ kā kaam hī thā toḌnā toḌā hameñ
ulfato afsos tum ne bhī nahīñ joḌā hameñ
is qadar tanhā na hote ham zamāne meñ kabhī
baḳhsh detī pyaar gar tū zindagī thoḌā hameñ
maut ham se thī ḳhafā ab tū bhī niklī bevafā
zindagī tū ne kahīñ kā bhī nahīñ chhoḌā hameñ
zaḳhm dil kā ban gayā nāsūr ab chāragaro
ab davā kis kaam kī ab zahr do thoḌā hameñ
log vo ḳhush haiñ hamārī maut kī sun kar ḳhabar
log jo bhī mānte the raah kā roḌā hameñ
nafraton ka kaam hi tha toDna toDa hamein
ulfato afsos tum ne bhi nahin joDa hamein
is qadar tanha na hote hum zamane mein kabhi
baKHsh deti pyar gar tu zindagi thoDa hamein
maut hum se thi KHafa ab tu bhi nikli bewafa
zindagi tu ne kahin ka bhi nahin chhoDa hamein
zaKHm dil ka ban gaya nasur ab chaaragaro
ab dawa kis kaam ki ab zahr do thoDa hamein
log wo KHush hain hamari maut ki sun kar KHabar
log jo bhi mante the rah ka roDa hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.