nafraton ka nisab paDh paDh ke
nafratoñ kā nisāb paḌh paḌh ke
ho gayā dil ḳharāb paḌh paḌh ke
ik suḳhanvar ne aaj phir barpā
kar diyā inqalāb paḌh paḌh ke
zindagī kā shu.ūr aaya nahīñ
kyā milā hai janāb paḌh paḌh ke
dīn-o-duniyā ko maiñ ne pahchānā
āsmānī kitāb paḌh paḌh ke
ruuh merī chamak ga.ī 'ahmad'
ishq-o-ulfat kā baab paḌh paḌh ke
nafraton ka nisab paDh paDh ke
ho gaya dil KHarab paDh paDh ke
ek suKHanwar ne aaj phir barpa
kar diya inqalab paDh paDh ke
zindagi ka shuur aaya nahin
kya mila hai janab paDh paDh ke
din-o-duniya ko main ne pahchana
aasmani kitab paDh paDh ke
ruh meri chamak gai 'ahmad'
ishq-o-ulfat ka bab paDh paDh ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.