nafraton ke daur mein insaniyat zinda to hai
nafratoñ ke daur meñ insāniyat zinda to hai
aadmī kā aadmī se pyaar kā rishta to hai
raah par sachchā.iyoñ kī chalnā hai behtar magar
ye bhī sach hai is safar meñ jaan kā ḳhatra to hai
muddatoñ ke baa'd ḳhushiyoñ kī huī haiñ āhaTeñ
sabr kā phal jo milā jaisā milā mīThā to hai
khul ke ye iqrār haañ kartā nahīñ koī magar
sab ke chehroñ par lagā ik jhuuT kā chehra to hai
nit nahīñ lekin yūñhī gāhe-ba-gāhe dosto
ḳhvāhishoñ kā sab ne duniyā meñ galā ghoñTā to hai
'ishq ke jaadū se koī kab achhūtā rah sakā
har kisī ko ye nasha ik baar ko hotā to hai
chal rahā hai zindagī kā kārvāñ 'hīrā' magar
daur-e-mahañgā.ī ne jīvan kā sukūñ chhīnā to hai
nafraton ke daur mein insaniyat zinda to hai
aadmi ka aadmi se pyar ka rishta to hai
rah par sachchaiyon ki chalna hai behtar magar
ye bhi sach hai is safar mein jaan ka KHatra to hai
muddaton ke ba'd KHushiyon ki hui hain aahaTen
sabr ka phal jo mila jaisa mila miTha to hai
khul ke ye iqrar han karta nahin koi magar
sab ke chehron par laga ek jhuT ka chehra to hai
nit nahin lekin yunhi gahe-ba-gahe dosto
KHwahishon ka sab ne duniya mein gala ghonTa to hai
'ishq ke jadu se koi kab achhuta rah saka
har kisi ko ye nasha ek bar ko hota to hai
chal raha hai zindagi ka karwan 'hira' magar
daur-e-mahangai ne jiwan ka sukun chhina to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.