nafs-e-sag-e-palid ko gar apne mariye
nafs-e-sag-e-palid ko gar apne mariye
Mirza Maseeta Beg Muntahi
MORE BYMirza Maseeta Beg Muntahi
nafs-e-sag-e-palīd ko gar apne māriye
mānind-e-sher dasht-e-jahāñ meñ Dakāriye
us gul ko josh-e-gul meñ ye kah kar ubhāriye
gulshan meñ andalīb ko chal kar pukāriye
phir murġh-e-dil ko phāñsiye phir jaal māriye
phir ho sake to aap se gesū sañvāriye
piirī meñ kaif-e-ishq se tauba to kījiye
manzil rahī hai thoḌī sī himmat na hāriye
girdāb-e-bahr-e-ishq ke chakkar haiñ raat din
kaun āshnā-e-hāl hai kis ko pukāriye
dil de ke jaur-o-zulm kā shikva na kījiye
do din kī zindagī kisī Dhab se guzāriye
ahl-e-havas kī dahr meñ miTTī ḳharāb hai
galiyoñ meñ ḳhaak chhān rahī haiñ niyāriye
mānind-e-zulf ġhair ko kyuuñ sar chaḌhā.iye
āñkhoñ se shakl-e-ashk ke is ko utāriye
paidā kareñ asar jo dur-e-ashk nāseho
un motiyoñ pe hañs ko sau baar vāriye
juz mere daal aap kī galtī nahīñ kahīñ
yuuñ muñh se jitnī chāhiye sheḳhī baghāriye
naala jo zer-e-teġh kiyā maiñ ne jis ghaḌī
bole ki ek dam ke liye dam na māriye
tauba sharāb-e-ishq se kis tarah kījiye
kyūñkar ye jin chaḌhā huā sar se utāriye
kyā kyā na dost apne miyān-e-adam ga.e
kis ko talāsh kījiye kis ko pukāriye
us but ke bahr-e-husn meñ dil ko Duboiye
is kashtī-e-hayāt ko yuuñ paar utāriye
manzūr ho jo rāhat-e-kaunain 'muntahī'
hāthoñ ko khīch lījiye paañv pasāriye
nafs-e-sag-e-palid ko gar apne mariye
manind-e-sher dasht-e-jahan mein Dakariye
us gul ko josh-e-gul mein ye kah kar ubhaariye
gulshan mein andalib ko chal kar pukariye
phir murgh-e-dil ko phansiye phir jal mariye
phir ho sake to aap se gesu sanwariye
piri mein kaif-e-ishq se tauba to kijiye
manzil rahi hai thoDi si himmat na haariye
girdab-e-bahr-e-ishq ke chakkar hain raat din
kaun aashna-e-haal hai kis ko pukariye
dil de ke jaur-o-zulm ka shikwa na kijiye
do din ki zindagi kisi Dhab se guzariye
ahl-e-hawas ki dahr mein miTTi KHarab hai
galiyon mein KHak chhan rahi hain niyariye
manind-e-zulf ghair ko kyun sar chaDhaiye
aankhon se shakl-e-ashk ke is ko utariye
paida karen asar jo dur-e-ashk naseho
un motiyon pe hans ko sau bar wariye
juz mere dal aap ki galti nahin kahin
yun munh se jitni chahiye sheKHi baghaariye
nala jo zer-e-tegh kiya main ne jis ghaDi
bole ki ek dam ke liye dam na mariye
tauba sharab-e-ishq se kis tarah kijiye
kyunkar ye jin chaDha hua sar se utariye
kya kya na dost apne miyan-e-adam gae
kis ko talash kijiye kis ko pukariye
us but ke bahr-e-husn mein dil ko Duboiye
is kashti-e-hayat ko yun par utariye
manzur ho jo rahat-e-kaunain 'muntahi'
hathon ko khich lijiye panw pasariye
- Deewan-e-MuntahiáKaristan-e-Fasahatâ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.