nafsi-nafsi ka hai aalam sab hue na-ashna
nafsī-nafsī kā hai 'ālam sab hue nā-āshnā
mahshar-e-zo'm-e-ḳhirad meñ kaun kis kā āshnā
maiñ ne bhī bād-e-sabā ke haath ko bose diye
lams-e-gesū se tire dast-e-sabā thā āshnā
ārzū-mandī ko zarf-e-āgahī darkār hai
pahle honā chāhiye ham ko tamannā-āshnā
ajnabī tahzīb kā malbūs hai har jism par
har koī aqdār se apnī huā nā-āshnā
bāb-e-ulfat kā mudarris hai vahī is daur meñ
jo nahīñ harf-e-mohabbat se zarā sā āshnā
bul-havas kā zikr kyā ‘azm-o-‘amal ke bahr ko
paar karte haiñ shanāvar aur dariyā-āshnā
‘ishq-e-sādiq to hai ‘anqā aur ġhālib hai havas
aaj ke majnūñ kahāñ 'abrār' lailā-āshnā
nafsi-nafsi ka hai 'alam sab hue na-ashna
mahshar-e-zo'm-e-KHirad mein kaun kis ka aashna
main ne bhi baad-e-saba ke hath ko bose diye
lams-e-gesu se tere dast-e-saba tha aashna
aarzu-mandi ko zarf-e-agahi darkar hai
pahle hona chahiye hum ko tamanna-ashna
ajnabi tahzib ka malbus hai har jism par
har koi aqdar se apni hua na-ashna
bab-e-ulfat ka mudarris hai wahi is daur mein
jo nahin harf-e-mohabbat se zara sa aashna
bul-hawas ka zikr kya ‘azm-o-‘amal ke bahr ko
par karte hain shanawar aur dariya-ashna
‘ishq-e-sadiq to hai ‘anqa aur ghaalib hai hawas
aaj ke majnun kahan 'abrar' laila-ashna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.