nagar-nagar dil-e-muztar liye phirā mujh ko
mujhe talāsh thī jis kī na mil sakā mujh ko
maiñ us ke baare meñ kuchh us se pūchhtā lekin
milā vo jab kabhī bikhrā huā milā mujh ko
maiñ āñdhiy.oñ se laḌūñgā ye maiñ ne sochā thā
havā kā ek hī jhoñkā bujhā gayā mujh ko
mirī vafā kā use bhī hai kis qadar ehsās
vo kitne dukh se ye kahtā hai bhuul jā mujh ko
kaTī hai karb-o-balā meñ tamām 'umr mirī
hayāt lagtī hai maidān-e-karbalā mujh ko
jatan karo mujhe vāpas zamīñ pe laane kā
na aisā ho ki nigal jaa.e ye ḳhalā mujh ko
maiñ apne aap meñ khoyā huā thā ai 'ābid'
kahāñ-kahāñ vo magar DhūñDhtā phirā mujh ko
nagar-nagar dil-e-muztar liye phira mujh ko
mujhe talash thi jis ki na mil saka mujh ko
main us ke bare mein kuchh us se puchhta lekin
mila wo jab kabhi bikhra hua mila mujh ko
main aandhiyon se laDunga ye main ne socha tha
hawa ka ek hi jhonka bujha gaya mujh ko
meri wafa ka use bhi hai kis qadar ehsas
wo kitne dukh se ye kahta hai bhul ja mujh ko
kaTi hai karb-o-bala mein tamam 'umr meri
hayat lagti hai maidan-e-karbala mujh ko
jatan karo mujhe wapas zamin pe lane ka
na aisa ho ki nigal jae ye KHala mujh ko
main apne aap mein khoya hua tha ai 'abid'
kahan-kahan wo magar DhunDhta phira mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.