nagar nagar mein qadm-dar-qadam muhajir hain
nagar nagar meñ qadm-dar-qadam muhājir haiñ
likhī thī 'ishq meñ hijrat so ham muhājir haiñ
hamāre baare meñ rastoñ se pūchhiye lekin
javāb deñge ye dair-o-haram muhājir haiñ
safar kā rang badal jā.egā mire yaaro
agar jo TuuT gayā ye bharam muhājir haiñ
hamārī nasl ko hijrat nabī se hāsil hai
nabī ke log nabī kī qasam muhājir haiñ
tamām 'umr usī raah par basar hogī
vo raah jis pe ḳhushī aur ġham muhājir haiñ
hamārī zaat ko chhoTī samajh rahī duniyā
chaleñge haath meñ le kar 'alam muhājir haiñ
nagar nagar mein qadm-dar-qadam muhajir hain
likhi thi 'ishq mein hijrat so hum muhajir hain
hamare bare mein raston se puchhiye lekin
jawab denge ye dair-o-haram muhajir hain
safar ka rang badal jaega mere yaro
agar jo TuT gaya ye bharam muhajir hain
hamari nasl ko hijrat nabi se hasil hai
nabi ke log nabi ki qasam muhajir hain
tamam 'umr usi rah par basar hogi
wo rah jis pe KHushi aur gham muhajir hain
hamari zat ko chhoTi samajh rahi duniya
chalenge hath mein le kar 'alam muhajir hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.