naghma-e-kun se numudar ajab hosh hua
naġhma-e-kun se numūdār ajab hosh huā
dahr meñ jis ko sañbhālā vahī behosh huā
ḳhalvat-e-nāz meñ yuuñ koī ham-āġhosh huā
ilm dar siina mire dil se farāmosh huā
jaur-e-paiham ne kabhī dil se nikalne na diyā
dard baḌhtā hī rahā jab vo sitam-kosh huā
ishq meñ chāhiye har-lahza nirālī gardish
kyoñ vahāñ kātib-e-taqdīr subuk-dosh huā
yaad aa.e unheñ kuchh tark-e-jafā ke pahlū
haif-sad-haif ki maiñ dil se farāmosh huā
rang yā shakl na thā kyā nazar aatā vo hameñ
dīda-e-dil kī jagah zehn meñ rū-posh huā
har jagah tuur hai be-ḳhud hai jahāñ misl-e-kalīm
jalva-e-nau se vo hangāma farāmosh huā
hashr ke baad rahī hasrat-e-nazzāra mujhe
is tarah majma.a-e-ḳhūbāñ meñ vo rū-posh huā
kyā ho pādāsh-e-amal mast-e-azal hai 'nāzish'
yā ḳhudā tū ne pilā.ī to ye mai-nosh huā
naghma-e-kun se numudar ajab hosh hua
dahr mein jis ko sanbhaala wahi behosh hua
KHalwat-e-naz mein yun koi ham-aghosh hua
ilm dar sina mere dil se faramosh hua
jaur-e-paiham ne kabhi dil se nikalne na diya
dard baDhta hi raha jab wo sitam-kosh hua
ishq mein chahiye har-lahza nirali gardish
kyon wahan katib-e-taqdir subuk-dosh hua
yaad aae unhen kuchh tark-e-jafa ke pahlu
haif-sad-haif ki main dil se faramosh hua
rang ya shakl na tha kya nazar aata wo hamein
dida-e-dil ki jagah zehn mein ru-posh hua
har jagah tur hai be-KHud hai jahan misl-e-kalim
jalwa-e-nau se wo hangama faramosh hua
hashr ke baad rahi hasrat-e-nazzara mujhe
is tarah majma-e-KHuban mein wo ru-posh hua
kya ho padash-e-amal mast-e-azal hai 'nazish'
ya KHuda tu ne pilai to ye mai-nosh hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.