naghma-e-mina hai raqs-e-jam hai
naġhma-e-mīnā hai raqs-e-jām hai
tū kahāñ ai gardish-e-ayyām hai
ho na jaa.e husn par jab tak nisār
zindagī ilzām hī ilzām hai
uTh ga.e sab mai-kashān-e-sarfarosh
mai-kadoñ meñ ab ḳhudā kā naam hai
pher liiñ jis se nigāheñ aap ne
us kī qismat meñ kahāñ ārām hai
tum hī nā-mahram ho varna mai-kasho
zindagī ḳhud ik chhalaktā jaam hai
aadmī ko mārtī hai zindagī
maut par to muft kā ilzām hai
tere bas kā rog ai 'sābir' nahīñ
shā.erī to dil-jaloñ kā kaam hai
naghma-e-mina hai raqs-e-jam hai
tu kahan ai gardish-e-ayyam hai
ho na jae husn par jab tak nisar
zindagi ilzam hi ilzam hai
uTh gae sab mai-kashan-e-sarfarosh
mai-kadon mein ab KHuda ka nam hai
pher lin jis se nigahen aap ne
us ki qismat mein kahan aaram hai
tum hi na-mahram ho warna mai-kasho
zindagi KHud ek chhalakta jam hai
aadmi ko marti hai zindagi
maut par to muft ka ilzam hai
tere bas ka rog ai 'sabir' nahin
shaeri to dil-jalon ka kaam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.