naghma jo mahmil ke bahar hai wahi mahmil mein hai
naghma jo mahmil ke bahar hai wahi mahmil mein hai
Amjad Ali Ghaznawi
MORE BYAmjad Ali Ghaznawi
naġhma jo mahmil ke bāhar hai vahī mahmil meñ hai
haal meñ zāhir hai poshīda jo mustaqbil meñ hai
jis kā partav gesū-e-shab meñ mah-e-kāmil meñ hai
ik jhalak us husn-e-poshīda kī tere dil meñ hai
jalva-e-yazdāñ bhī raqs-e-ahraman bhī dil meñ hai
aadmī bhī kis qadar uljhan meñ hai mushkil meñ hai
kah rahā thā ek dīvāna ye hañgām-e-safar
rah-navardī meñ jo rāhat hai vahī manzil meñ hai
hausla-mandān ġhavvāsān-e-dariyā ke liye
zindagī maujoñ meñ hai jo vo kahāñ sāhil meñ hai
apnī fitrat par chaman meñ ḳhār-o-gul to haiñ magar
ik tazād-e-mustaqil is musht-e-āb-o-gil meñ hai
jaam hai miinā hai sahbā-e-junūñ-afzā bhī hai
sāqiyā aa jā ki ik terī kamī mahfil meñ hai
be-rah-o-be-rahnumā garm-e-safar hai qāfila
fā.eda kyā is tarah kī sa.i-e-lā-hāsil meñ hai
paikar-e-shauq-o-talab ban kar jo hai garm-e-safar
har qadam us rāh-rau kā sarhad-e-manzil meñ hai
marja.a-e-ilhām ban saktā hai koshish ho agar
ik maqām aisā bhī pinhāñ aadmī ke dil meñ hai
āftāb-e-dil se garmā aur chamkā de use
zarra-e-haq jo nihāñ gard-e-rah-e-bātil meñ hai
dil to hai nā-āshnā-e-bāda-hā-e-zindagī
jām-o-mīnā kā magar saudā sar-e-ġhāfil meñ hai
DhūñDte rahiye magar 'amjad' ko pā sakte nahīñ
vo to ab ik nuur ke dariyā-e-be-sāhil meñ he
naghma jo mahmil ke bahar hai wahi mahmil mein hai
haal mein zahir hai poshida jo mustaqbil mein hai
jis ka partaw gesu-e-shab mein mah-e-kaamil mein hai
ek jhalak us husn-e-poshida ki tere dil mein hai
jalwa-e-yazdan bhi raqs-e-ahraman bhi dil mein hai
aadmi bhi kis qadar uljhan mein hai mushkil mein hai
kah raha tha ek diwana ye hangam-e-safar
rah-nawardi mein jo rahat hai wahi manzil mein hai
hausla-mandan ghawwasan-e-dariya ke liye
zindagi maujon mein hai jo wo kahan sahil mein hai
apni fitrat par chaman mein KHar-o-gul to hain magar
ek tazad-e-mustaqil is musht-e-ab-o-gil mein hai
jam hai mina hai sahba-e-junun-afza bhi hai
saqiya aa ja ki ek teri kami mahfil mein hai
be-rah-o-be-rahnuma garm-e-safar hai qafila
faeda kya is tarah ki sai-e-la-hasil mein hai
paikar-e-shauq-o-talab ban kar jo hai garm-e-safar
har qadam us rah-rau ka sarhad-e-manzil mein hai
marja-e-ilham ban sakta hai koshish ho agar
ek maqam aisa bhi pinhan aadmi ke dil mein hai
aaftab-e-dil se garma aur chamka de use
zarra-e-haq jo nihan gard-e-rah-e-baatil mein hai
dil to hai na-ashna-e-baada-ha-e-zindagi
jam-o-mina ka magar sauda sar-e-ghafil mein hai
DhunDte rahiye magar 'amjad' ko pa sakte nahin
wo to ab ek nur ke dariya-e-be-sahil mein he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.